Dono Jahaan Teri Mohabbat MeinDono jahaan teri mohabbat meiDono jahaan teri mohabbat mein haar keWoh jaa raha hai koi shab-e-gam guzaar keVeeraan hai maikada khum o sagar udaas hainTum kya gaye ki rooth gaye din bahaar keIk fursat-e-gunaah mili wo bhi chaar dinDekhe hain hum ne haunsle parwardigaar keDuniya ne teri yaad se baigana kar diyaTujh se bhi dil-fareb hain gam rozgaar keBhule se muskura to diye the woh aaj 'faiz'Mat puch valvale dil-e-naa-karda-kaar ke
Dekh Lete Ho Mohabbat SeDekh lete ho mohabbat sDekh lete ho mohabbat se yahi kaafi haiDil dhadakta hai sahulat se, yahi kaafi haiHaal duniya ke sataye hue kuch logon kaPuch lete ho shararat se, yahi kaafi haiJo bhi raaste mein guzarta hai mere pehlu seDekhta hai teri nisbat se, yahi kaafi haiMuddatton se nahin dekha tera jalwa lekinYaad aa jate ho shidat se, yahi kaafi haiSaari duniya se ulajhte hain lekinTera kahaa maan jate hain sharafat se, yahi kaafi haiKya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahinKatt rahi hai bari izzat se, yahi kaafi haiAaj ke ehad taghaful mein kisi dar pe 'munir'Koi aa jaye zarurat se, yahi kaafi hai
Dekh Lete Ho Mohabbat SeDekh lete ho mohabbat sDekh lete ho mohabbat se yahi kaafi haiDil dhadakta hai sahulat se, yahi kaafi haiHaal duniya ke sataye hue kuch logon kaPuch lete ho shararat se, yahi kaafi haiJo bhi raaste mein guzarta hai mere pehlu seDekhta hai teri nisbat se, yahi kaafi haiMuddatton se nahi dekha tera jalwa lekinYaad aa jate ho shiddat se, yahi kaafi haiSaari duniya se uljhate hain lekin tera kahaMaan jate hain sharafat se, yahi kaafi haiKya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahinKatt rahi hai baai izzat se, yahi kaafi haiAaj ke ehad tagaful mein kisi dar pe 'munir'Koi aa jaye zarurat se, yahi kaafi hai
Wo Dil Hi KyaWo dil hi kyWo dil hi kya tere milne kee jo dua na kareMain tujh ko bhool kar zinda rahuun khuda na kareRahe ga saathtera pyaar zindagi ban karYe aur baat, meri zindagi wafa na kareYe theek hai nahi marta koi judaai meinKhuda kisi se kisi ko magar judaa na kareSuna hai usko mohabbat duayein deti hainJo dil pe chot to khaye magar gila na kareBujha dia hai naseebon ne mere pyaar ka chaandKoi dia meri palkon pe ab jala na kareZamana dekh chuka hai parakh chuka hai'qateel' jaan se jaaye par iltijaa na kare
Kya Kahun Tum SeKya kahun tum sKya kahun tum se main ki kya hai ishqJaan ka rog hai, bala hai ishqIshq hi ishq hai jahan dekhoSare aalam mein bhar raha hai ishqIshq mashuq ishq aashiq haiYani apna hi mubtala hai ishqIshq hai tarz-o-taur ishq ke taeenKahin banda kahin khuda hai ishqKaun maqsad ko ishq bin pahunchaAarzoo ishq wa mudda hai ishqKoi khwaahan nahin mohabbat kaTu kahe jins-e-narawa hai ishqMeer ji zarad hote jaate hainKya kahin tum ne bhi kiya hai ishq
Sar Jhukaoge ToSar jhukaoge to..Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega;Itanaa mat chaho use wo be-wafa ho jayega;Hum bhi dariya hain humein apana hunar maloom hai;Jis taraf bhii chal padenge raasta ho jayega;Kitani sachayi se mujh se zindagi ne keh diya;Tu nahi mera to koi doosra ho jayega;Main khuda ka naam le kar pee rahaa hun dostoZehar bhi iss mein agar hoga dawa ho jayega;Rooth janaa to mohabbat kee alamat hai magar;Kya khabar thi mujh se wo itna khafa ho jayega